Saturday, January 25, 2014

Taqdeer badalni hai hame desh badalna hai

Le aam aadmi saath hame chalte chalna hai
Taqdeer badalni hai hame desh badalna hai
Le aam aadmi saath …………………………………………

Ummeed pe dunia hai ummeed nahi.n chhodo
Ab jimmedaari se muh apna nahin modo
Mil apne khayaalon se sab logo.n ko jodo
Janta ki ummeedo.n ko kisi haal nahin todo
Achchaaee buraaee ka har bhed samajhna hai
Taqdeer badalni hai hame desh badalna hai
Le aam aadmi saath …………………………………………

Wado.n ko nibhaane ka wada na koee toote
Patwaar yeh kashti ki haanthon se nahin chhoote
Qismat hai jo Bharat ki bhoole se bhi na foote
Rehna hai sada chaukas dushman na hame.n loote
Aasaan nahin raahe.n parvat pe chadna hai
Taqdeer badalni hai hame desh badalna hai
Le aam aadmi saath …………………………………………

jo dard nahin samjhe wo atyaachaari hai
sarkaar nikammi hai sarkaar bimaari hai
ye desh bade kaise sab oar laachaari hai
keh do ye nikammo.n se ab AAP ki baari hai
aata hai hame kaise maslo.n se nibatna hai
Taqdeer badalni hai hame desh badalna hai
Le aam aadmi saath …………………………………………

Jeene ke liye apne saamaan dhundhna hai
Har ek samasya ki samaathaan dhundhna hai
Armaano.n ke apne aasmaan dhundhna hai
Apmaan nahin hamko sammaan dhundhna hai
Mushkil har rasto.n pe gir gir ke sambhlna hai
Taqdeer badalni hai hame desh badalna hai
Le aam aadmi saath …………………………………………

Alok Kumar AAP- M.No. 9001099471

Source Link: https://plus.google.com

No comments:

Post a Comment